|
|
|
Amrit Vaani - In praise of Lord Rama
|
Kartaa hoon main vandanaa, natshir baarambaar, tujhe deva paramaatman, mangal shiv shubhkaar.
Anjali par mastak kiye, vinay bhakti ke saath, namaskaar meraa tujhe, hove jag ke naath.
donon kar ko jodh kar, mastak ghutne tek, tujhko ho pranaam mam, shat shat koti anek.
paap haran mangal karan, charan sharan ka dhyaan, ghaar karoon pranaam main, tujh ko shakti nidhaan.
bhakti bhaava shubh bhaavnaa, man mein bhar bharpoor, shraddha se tujh ko namoon, mere raam hazoor.
jyotirmaya jagdish he, tejomaya apaar, param purush paavan param, tujhko ho namaskaar.
satyagyaan aanand ke, param dhaam shreeraam, pulkit ho mera tujhe, hove bahu pranaam.
|
|